Skip to main content
Mumbai mein huye atankwadi hamle ke bad jo istife aur bayanbaji ka khel suru huaa who aaj tak jaari hai , kabhi Pakistan ko altimetom diya jaata hai to kabhi sabot, aur in sab bayanbaji ke bich hi nav wars par guahati mein bam bisfote bhi ho gaye

Bayanbaji tatha istife ka khel sayad isliye huaa ki us samay chunaawi mahaul tha aur ye hamle aam admi par na hokar kuch khas logo par huye the khair jo bayanbaji suroo huye wo ab bhi jaari hai 1 pakistan ko saboot par saboot to diye jaa rahe hai par woh use nakaarne mein jyada samay nahi laga raha hai ? arthat woh is mamle mein bharat ko sahyog nahi dega 1 waise bhi pakistan ne shimla samjhaute se lekar ab tak dhoka hi kiya hai is baat ko aam bahrtiya samajh sakta hai to sarkar kis ko ullu bana rahi hai apne hi janta ko is hamle ka sikaar yada kada hote rahte hai , to phir kyon bharat us par aakrman nahi kar raha hai ? pakistan jo bharat ke bat ko unsooni kar de raha hai uska jimmewar sayad bharat hi hai kyonki woh atankwad par kabhi sakht nahi raha hai naa hi aantrik atankwad par aur naa hi seemapar atankwad par wartman sarkar to is maamle mein jyada hi kamjor sabit hua hai 1 bharat pakistan se atankwaadiyon ko saupne ki bat kar raha hai par is bat ko koyi batayga ki supreme court dwara sajaa sunaaye jaane ke baad bhi AFJAL GURU ko ab tak bacha kar kyon rakha jaa raha hai? to phir kyon pakistan se aatankwadion ki maang ki jaa rahi hai kya unka atithi satkar karne ka vichaar hai? bharat "SIMI,HUJI,ULFA" jaise aatankwadi sangathno se ab tak par to paa nahi saka aur use badhawa hi diye jaa raha hai,koyi "SIMI" ka samarthan karta hai to koyi bangladeshi ghuspaithiyo ko nagrikta dene ki baat karta hai jo ki atankwad ki nayi paudh hai 1 agar baharat sarkar khud hi kamjor raweyaa apna rahi to kabhi wiswa biradari ko saboot dikhane aur kabhi pakistan ko dhamkane se kya fayada ,hum lagaatar bayanbaji kar rahe hain aur aatankwadi apne kam ko anjaam diya jaa raha hai 1 jaroorat hai "NIA" ko sahi dhang se kriyanwit karne ka taki aam janta ke aankho se aansoo kuch kam ho , par dar to yahi lagta hai ki NIA bhi tustikaran ki rajniti ki bhent na chad jaaye 1 awsaykta hai dridh rajnitik ichha sakti ka na ki seema par chahal pahal dikhane ka aur pakistan jaise chhadam atankwad ko sahyog karne ka.
Comments