Rajniti ka Apraadhikaran!


Rajniti ke apradhikaran se matlab rajneeti mein apraadh ka parwesh hona yaa rajnetaao ka apraadhiyon ke sath sanliptta hai .iske liye unko sajaa bhi milti hai; lekin ek tarah ka aur apraadh netaoon dawara kiya jaa raha hai jiski sajaa unhein nahi milti hai aur na hi use apraadh maana jata hai. if hai chunao ke samay janta se jhute wayde shyj. kya alishan car mein baithkar do roti ke liya tarashte log ke paas vote maangne aana aur use jhuti aas dika jana apraadh nahi hai? jis desh mein cororo log gribi rekha ke niche rahte hai bhukh se mr rahe hai wahan ke neta shano shukat mein usa aur britane ke neta ko takkar de rahe hai kya ye sharmanak nahi hai?bhuke logo ko jhuti aas dika jaana kya isse bara apraadh koyi ho sakta hai? to phir rajniti ke is apradhikaran par koyii charcha kyon nahi hoti? aakhir janta ko kab tak youn bewkhoof banaaya jayega?

Comments

neelam said…
haa kab tak bewkoof banaya jayega jawaab dijiye....
Unknown said…
Rajniti ka apradhikaran hmare smaym k hatho h jab tak jatiwad kshetrwad havi rhega aur smajwad ka abhirbhaw nhi hoga ye samsya rhegi
siddharth.,
PREM BANDhU said…
@ siddarth i agree with you par jaatiwat aur sampradaywad tabhi ruk sakti hai jab hum jagrook hoge aur ek vote bank ki tarah use nahi honge