Child labour


Bal shram athart bachho ke dwara kiya jaane waala kam. aajkar hotel maal resturent har jagah bal sharmik mil jaayenge. balsharam ek aisi aarthik aur samaajik burayiaa hai jisne hamr samaj mein sayad aadat waali jagah bana liya hai aur hum chahkar bhi usse dur nahi ho sakte. balsharm hamare manvia jeevan par ek kalank hai jise hum maan rahe hai par hataane ko tayaar nahi. bal shram shabd aate hi taar taar hota bachpan lutti maasumiyat bhole chehre par kaam ki bhojh barbas hi aanko ke saamne aa jata hai. man mein ek hi swaal uthata hai aakhir kyaon hum maanav hote huye bhi mantavta ko samajh nahi paate aakhir hum bachho ko unka bachhpan na jeene ko majboor kar rahe hai. balshram badhane main sayad paristhitiya vi jeemadar hai shiksha prapt na kar pana sayad ek wajah ho sakti hai lekin kya jab ye shiksha prapt karne ki kossih karege to unhe sahi shiksha mil sakegi agarr mil bhi gayi to unhe bhokmari se kon bachya ga ? agr high school tak ki shiksha we prapt kar le kya unhe rojgar mil sakega agar nahi to phir kyon na we school se pahle hi rojgar ko aapna len yehi ek unsulja sawaal balashram ka sbse bara kaaran hai aur hum sirf rule bana kar is ko katham nahi kar sakthe.
bachho ke bachpan ke liye kanooni prawdhan nimn hain:
art.39------------- sarkar ke liye apne niti ko is prakaar chanlana ki usse bachpan nast na ho
art.24------------- 14 year se kam ke bachho ko factory,mines aadi mein kam na karwana aisa na karne par sajaa ka prawdhan
art 45-------------- 14 year se kam ke bachho ko sarkar dwara ni shulk shikcha ki waywashtha karn
in prawdhan ke bad bhi balsharam kahatm.kyonki hum khud ko nhai badal rahe hai

Comments